FAQ
Answers to the most common questions
1- Mai Muslim hoon (Shia ya Sunni) / Christian / Jewish / Buddhist / Zoroastrian / ya be-deen. Kya mai Tariqa le sakta hoon aur Allah ka zikir kar sakta hoon?
Jee haan, Kasnazani Tariqa tamaam mazahib ke logon ko mohabbat aur Allah Rahmaan ki ibadat par muttahid hotay hue dawat deta hai.
2- Kya Tariqa lene ke liye koi fees deni parhtii hai?
Nahi, Tariqa har marhale par bilkul muft hai. Tariqa ke badlay paisay ya koi service lena manaa hai.
3- Tariqay ka paigham duniya ke liye kya hai?
Mohabbat, meherbani aur ek doosray ke huqooq ke ehtaraam par mabni pur-aman zindagi.
4- Tariqa lene ke kitne arsay baad insaan dobara woh bachpan wali khushi, sukoon aur halkapan mehsoos karta hai?
5- Roz kitne ghantay zikr karna chahiye?
Agar aap ke paas waqt ho to roz sawa ek ghanta (1 hour 15 min) kaafi hai. Agar mushkil ho to jitna mumkin ho karein.
6- Kya tamam zikir ek hi baar bina rukay karna hota hai, ya din bhar thoda thoda kar sakte hain?
Zikir baith kar, kharay ho kar, pehlu par let kar, lagatar ya waqfay se — har tarah se kiya ja sakta hai. Wuzu ho to behtar hai.
7- Kya namaz parhna zaroori hai?
Jee haan, namaz Allah ta’ala ki taraf se farz hai, aur namaz ke saath zikir ka asar bohat barh jata hai.
8- Agar ek din ka zikir reh jaye to kya karen?
Koi baat nahi, aglay dino me poora kar sakte hain.
9- Kya bachchay bhi Tariqa le sakte hain aur zikir kar sakte hain?
Jee haan, har umr ke bachay Tariqa le sakte hain. Saat saal se barey bachchay, jitna ho sakey zikir bhi kar sakte hain.
10- “Kasnazani” ka kya matlab hai?
“Kaszazani” ek Kurdish lafz hai jis ka matlab hai: “Koi nahi janta”, jo Tariqat ke roohani asraar ki taraf ishara karta hai.
11- Infiradi (individual) zikir aur ijtimai (collective) zikir me kya farq hai?
Ijtimai zikr ke fawa’id aur asraat infiradi zikr se bohat zyada hote hain — bilkul aise jaise suraj ki aam roshni ba muqabala magnifying glass se guzar kar aaney wali roshni jo kaghaz ko jala deti hai. Ijtimai zikir ka noor infiradi zikir ke muqabaley maen bohat zyada taqatwar hota hai.
12- Kya Tariqa lene aur zikr karne se meri dunyaawi aur mu'ashi zindagi me bhi behtari aa sakti hai?
Jee haan, tauba, taqatwar zikir aur gunahon se bachne ki wajah se barkat badhti hai, aur inshaAllah mali halaat me bhi musbat tabdiliyan aati hain.
13- Main apni roohani taraqqi tez kaise kar sakta hoon?
Infiradi zikir ke sath ijtimai zikir me shirkat karein, aur logon ko Allah ke zikir aur tauba ki taraf dawat den — unke nek aamaal ka ajar bhi aap ko milta hai.
14- Infiradi zikir kab aur ijtimai zikir kab karna chahiye?
Agar aap ke ghar ke qareeb Takiya (Khanqah) ho to hafte me ek dafa zikir ki majlis me zaroor shirkat karein. Agar Takiya (khanqah) nahi to ghar par khandan ya doston ke sath ijtimai zikir kar sakte hain — hum aap ko sab sikhayenge.
15- Qadiri Kasnazani Tariqa ka maujooda leader kaun hai?
Hazrat Sheikh Shamsuddin Muhammad Nahro Kasnazani Qadiri Husseini — Allah unka saaya barqarar rakhe.
16- Tariqat me adab kya hai?
Hazrat Imam Hussain (A.S.) ke farman ke mutabiq:
“Adab yeh hai ke tum har shakhs ko apne se behtar samjho.”
Zikir ya ibadat ki wajah se kabhi khud ko afzal na samjho — yeh sab Allah ka fazl hai. Agar yeh fazal Allah ta’la kisi aur ko de deta to woh ham se ziyada ibadat guzaar ho saktey they.
17- Tariqa buray asraat, andheray aur shaitani quwwaton se hifazat kaise deti hai?
Rozana ka zikir aur Qadiri hifazati du’a, mureed ke liey ek hifazati zirah ka kaam kartay hain
18- Dil ka noor kaise paida hota hai?
Tariqa ki taleemat, ibadat aur zikir par qayam rehne se dil munawwar hota hai aur bohat se roohani aur nafsiati masail aksar hal ho jate hain.
19- Kya aurat hayz ke ayyaam me wuzu ya zikr kar sakti hai?
Jee haan, woh zikr kar sakti hain, bas namaz se parhez karein.
20- Tariqa ka kharcha kaise chalta hai?
Tariqa ka aksar kharcha Sheikh aur unke khandan ke zaati wasaail se hota hai, iss ke ilawa murideen aur khulafa jo iss kar-e- khair ke ajar mein hissadar ban’na chahtey hain un ki razakarana madad se hota hai.